Loading...

RAHON KI GARDISH....

RAHON KI GARDISH....
 
e—jindagi, tu mujhe kis mod pe le aai hai,
anjane me do nayi rahe bichhai hai,
ki kara ki na kara
ye tu khud aaj tak jaan na payi hai.
e—moula tu hi bata kya meri mout aayi hai,
ya tune fir nayi saajish rachai hai
ki kara ki na kara
mere sang to dono ki parchhayi hai.
har pal na jaane kaisi tanhai hai,
anjaan hu mai ki kya sachchai ha, i
ki kara ki na kara
in rahon ne meri neende churai hai.
kya nayi rah chunne mai achchayi hai
par shayad isme auron se burai hai
ki kara ki na kara
ye zindagi bhi aaj tak jaan na payi hai..
shayad vapas chalne me hi bhalayi hai
nayi raah par bhi ek nayi bidaai hai
jee kara so kara
moula fir tu bhi kahta —
ab to ye parayi hai
ab to ye parayi hai......
by:—pyariaafat...¨‘°ºO]÷••)—

(2011)

The Lovely Trouble of choosing the ways..

Other works by Yashi (Lovely Trouble)...



Top