Rahul Mishrra

Teri talaash

Uljhanon mein dhoonda hai tumhe, dukhon ke sagar mein talasha,
Atkalon mein dhoonda hai tumhe, dard ki gehraiyon mein talasha.
 
Hazaron dard tha dil mein apne dabaye,
tujh par bharosa kar main deta tha muskaye.
 
Aana tha mujhe teri ore, majburiyon ne tha dabaya,
bandhni thi ek dore, aashaon ne tha sataya.
 
Tuta na kabhi nakamyabi se main,
rutha na kabhi kismat se main.
 
Tujh par tha vishwas, diga na jo kabhi,
tujh se thi aas, puri hui sabhi.
 
Tere rang mein hi ranga tha main,
tere dhang mein hi dhanga tha main.
 
Sanyam na tha mujhmein, tune hi sikhaya,
udarta ka matlab, tune hi batlaya.
 
Asha hai ke tujhse milunga main kabhi,
sachhai duniya ki janunga main tabhi.
 
Ibadat mein aur kya main kahun, milna mujhe zarur,
tere mandir mein hi rahun, darshan ka hai surur.
 
Tyoharon mein dhoonda hai tumhe, jalson mein talasha,
khushiyon mein dhoonda hai tumhe, jashnon mein talasha.

(2012)

Altre opere di Rahul Mishrra...



Alto